La mehdood Muhabbat By Tayyiba Iram

اس  نے پوچھا “کیا محبّت دیکھی جا سکتی ہے“ ؟
..میں نے کہا نہیں
…یہ محسوس کی جاتی ہے
…مگر یہ احساس میری جان
..کچھ اس طور سے ہوتا ہے
…یہ کرن کچھ اس ادا سے پھوٹتی ہے
…کہ جہاں ساری کائنات میں رنگ ہی رنگ دکھائی دیتے ہیں
,وہاں
..اپنے ہی وجود  میں
..اپنی ہی ذات  میں
..اِک سدا کا درد آن بستا  ہے
..بس یہ سمجھ  لو کہ
..اِک بیج سا ہوتا ہے
..ہر روح میں
…محبّت کا
..مگر کبھی کسی ذات میں اِسکی
…آبیاری ہو پاتی ہے
…کبھی بیج وہیں دفن رہتا ہے
…ہاں مگر اِتّناکہہ دوں
…آبیاری کی صورت میں
..یہ جب پھلتا ہے
…پھولتا  ہے
..تو اِس درخت کی شاخیں
…محدود وجود میں
,,لا محدود جگہ  بناتی ہیں
.تو کِتنا درد ہوتا ہے

Us Ne Poocha ” Kya Muhabbat Dekhi Ja Sakti Hai ” ?
Meinne Kaha Nahi ..
Yeh Mehsoos Ki Jati Hai ..
Magar Ye Ehsaas Meri Jaaan …
Kuch Is Taur Se Hota Hai ..
Ye Kiran Kuch Is Ada Se Phootti Hai ..
Ke Jahan Sari Kainaat Mein Rung He Rung Dikhayi Detey Hain..
Wahan ,,,
Apney He Wajood Mein,
Apni He Zaat Mein,,
Ek Sada Ka Dard Aaan Basta Hai,,
Bas Ye Samjh Lo Ke,,
Ek Beej Sa Hota Hai,,
Har Ruhh Mein,,
Muhabbat Ka,,
Magar Kbhi Kissi Zaaat Mein Iski ,,
Aabyaari Ho Pati Hai ,,
Kabhi Beeej Waheen Dafan Rehta Hai ,,
Han Magar Itna Keh Dun,,
Aabyaari Ki Suraat Mein ,,
Ye Jab Phaalta Hai,,
Phoolta Hai..
Toa Is Darkht Ki Shaakhain ,,
Mehdood Wajood Mein,,
La Mehdood Jagah Banati Hain,,,
To Kitna Dard Hota Hai .

2 Responses to La mehdood Muhabbat By Tayyiba Iram

  1. amaraahmed says:

    Muhabaat rooh m utra wo ehsas ha jo khushi or gham dono m bs muhabaat krna janata ha

Leave a comment